Yeh Duriyaan Lyrics from Love Aaj Kal


Song: Yeh Duriyaan
Movie: Love Aaj Kal
Singer(s): Mohit Chauhan
Music By: Pritam Chakraborty
Lyricist(s): Irshad Kamil

Yeh Duriyaan Lyrics from Love Aaj Kal


 Yeh duriyaan, yeh duriyaan, yeh duriyaan inn raaho ki duriyaan
 Nigaaho ki duriyaan, hum raaho ki duriyaan
 Fanaah ho sabhi duriyaan
 Kyun koyi paas hai, dur hai, kyun koyi jaane na koyi yahan pe
 Aa raha paas ya dur main ja raha, jaanu na main hoon kahaan pe
 Yeh duriyaan, inn raaho ki duriyaan
 Nigaaho ki duriyaan, hamrahon ki duriyaan
 Fanaah ho sabhi duriyaan
 Yeh duriyaan, yeh duriyaan, yeh duriyaan....
 Kabhi huwa yeh bhi, khaali raaho pe bhi tu tha mere saath
 Kabhi tujhe milake lauta mera dil yeh khaali khaali haath
 Yeh bhi huwa kabhi jaise huwa aabhi, tujhako sabhi mein paa liya
 Tera mujhe kar jaati hai duriyaan, sataati hain duriyaan
 Tarsaati hain duriyaan, fanaah ho sabhi duriyaan

 Kaha bhi na maine, nahi jina maine tu jo na mila
 Tujhe bhule se bhi bola na maine chaahu faasala
 Bas faasala rahe, banake kasak jo kahe
 Ho aur chaahat yeh jawaan
 Teri meri mit jaani hai duriyaan, begaani hai duriyaan
 Hat jaani duriyaan, fanaah ho sabhi duriyaan
 Kyun koyi paas hai dur hai, kyun koyi jaane na koyi yahaan pe
 Aa raha paas ya dur main ja raha, jaanu na main hoon kahaan pe
 Yeh duriyaan, inn raahon ki duriyaan
 Nigaaho ki duriyaan, hamraaho ki duriyaan
 Fanaah ho sabhi duriyaan
 Yeh duriyaan, yeh duriyaan

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »